Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Rang Roop Ka Chaman,
Ye Husn-o-ishq Ka Vatan,
Yahin To Vo Mukaam Hai,
Jahaan Avadh Ki Shaam Hai,
Jawaan Jawaan Hasin Hasin,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen
Shabaab-o-sher Ka Ye Ghar,
Ye Ahal-e-ilm Ka Nagar,
Hai Manzilon Ki Godh Mein,
Yahaan Har Ek Rahguzar,
Ye Shahar Laalzaar Hai,
Yahaan Dilon Mein Pyaar Hai,
Jidhar Nazar Uthaaiye,
Bahaar Hi Bahaar Hai,
Kali Kali Hai Naaazani,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Yahaan Ki Sab Ravaayaten,
Adab Ki Shaahakaar Hain,
Ameer Ahl-e-dil Yahaan,
Gareeb Jaan Nisaar Hai,
Har Ek Shaakh Par Yahaan,
Hai Bulbulon Ki Chah-Chahen,
Gali Gali Mein Zindagi,
Kadam Kadam Pe Kah Kahey,
Har Ik Nazaara Dilnashi,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Yahaan Ke Dost Baa wafaa,
Mohabbaton Se Aaashna,
Kisi ke Ho Gaye Agar,
Rahe Usi ke Umr Bhar,
Nibhaayen Apni Aaan Bhi,
Badhaayen Dil Ki Shaan Bhi,
Hain Aisa Meharbaan Bhi,
Kaho Tou De De Jaan Bhi,
Jo Dosti Ka Ho Yakeen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen,
Ye Lucknow Ki Sar Zameen